laharo se dar kar nauka paar nahi hoti,
koshish karne wale ki kabhi haar nahi hoti !
nanhi chinti jab dana lekar chadti hai,
chadati diwaro par sau bar fisalati hai!
chadha kar girana, gir kar chadhana nahi akharata hai,
man ka utsaah rago me sahas bharata hai !
aakhir mehanat uski bekar nahi hoti,
koshish karane wale ki kabhi haar nahi hoti !